Apna trading account manage karein!

2 min. readlast update: 07.07.2025

Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.

Apna password recover karein

Agar aap pehle se logged in hain, to password recover karne se pehle please logout kar lein.

  1. Hamari website ke login section par jayein.

  2. ‘Forgot your password?’ par click karein.

  3. Apna email address enter karein jo aapke trading account se linked hai.

  4. Agar zarurat ho to ReCaptcha complete karein aur ‘Restore’ par click karein.

  5. Jo password recovery email milegi, usme se “Change password” par select karein.

Jab aap OlympTrade ki web page par redirect ho jaayein, to naya password set karein aur usay confirm karein. Bas ho gaya! Ab aap naye password ke saath login karne ke liye ready hain! 👏

Multi-Currency Trading Accounts Add Karein

Aap hamare platform par sirf ek active account rakh sakte hain, as per our Service Agreement ❇️Lekin aap different currencies aur trading modes (jaise FTT, Forex, aur Stocks) ke liye sub-accounts create kar sakte hain.

Dusri currencies mein sub-accounts banana bohat aasan hai! Yahan hai iska tareeqa:

  1. Hamari website par jayein.
  2. Login karne ke baad ‘Account’ section mein jayein.
  3. Plus (+) button par click karein aur apni pasand ki currency choose karke naya trading account add karein.

Multi-accounts ke baare mein mazeed jaanne ke liye, yahan click karein.

Apni Transaction History Check Karein

Aap apni deposit aur withdrawal history iss link se check kar sakte hain. Trade history dekhne ke liye, ye link use karein.

Aap apni trade history ko directly platform se bhi check kar sakte hain.

Agar ye article aapko helpful laga ho, to 👍 zaroor dabayein!

Was this article helpful?