Crypto Wallet kaise banayein? - Binance

3 min. readlast update: 07.08.2025

Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.

Cryptocurrency ne poori financial duniya ko badal diya hai. Aur agar aap digital assets ki duniya mein pehla qadam lena chahte hain, to sab se pehle aapko crypto wallet create karna hoga.

Iss step-by-step guide mein hum aapko dikhayenge ke Binance par apna crypto wallet kaise register karein jo ke duniya ke sab se mashhoor platforms mein se ek hai. Chalein start karte hain!

Binance Kya hai?

Binance duniya ka aik bohot bara aur mashhoor crypto exchange platform hai.
Yahan aap digital assets buy, sell, aur trade kar sakte hain — easily aur securely.

Binance ki strong security, aur bohot zyada cryptocurrencies ka selection usay
crypto users ka favorite banata hai worldwide! Aur sab se achi baat?
Yeh platform bohot easy-to-use aur practical hai — beginners ke liye bhi perfect.

🔗 Platform access karne ke liye, yeh link use karein: https://www.binance.com/en

Apna Binance account kaise banayein?

Binance par register karna bohot simple hai! Neeche diye gaye steps follow karein:

  • Iss link par jayein
  • Apna email ya phone number fill karein
undefined
  • Aapko ek 6-digit verification code milega use enter karein aur 'Submit' par click karein
undefined
  • Apne account ke liye password create karein phir ‘Next’ par click karein

Password banate waqt yeh cheezein zaroori hain kam az kam 8 characters hon. Ek uppercase letter (A–Z) ho aur ek number (0–9) bhi ho 

undefined

Registration process ke baare mein mazeed jaaniye.

 

Great! Aapne Binance mein registration complete kar liya hai.
Ab aapko apne account ke liye two-factor authentication set up karni hai taake security mazeed strong ho jaye. 

 

Binance mein 2FA enable karna

Apne Binance account mein two-factor authentication enable karna bohot zaroori hai taake aapke assets aur personal data protected rahein.

Hum hamesha Google Authenticator recommend karte hain. Lekin, aap apni 2-factor authentication email, phone number, ya personal security key ke zariye bhi set kar sakte hain. Google Authenticator ko download aur use karne ka detailed tareeqa iss article mein diya gaya hai.

Binance mein 2FA setting ke baare mein mazeed jaaniye

Ab aapko Identity verification complete karni hogi. Tension na lein – yeh simple aur fast hai!

Identity Verification

Apne Binance wallet ko verify karna aapke account ki security ko ensure karta hai, aur aapko saari features tak hassle-free access milta hai! Crypto khareedne se pehle, aapko aik fast identity verification process complete karna hoga.

Jo documents chahiye honge woh aapke country of residence par depend karta hai. Aam tor par, aap se yeh documents mangay jaate hain:

  • Identity Document (Passport, Driver's License, ya Government-Issued ID)
  • Facial verification ya 3D selfie.

 

Binance verification ke baare mein mazeed jaaniye

Verification complete hone ke baad aap bilkul ready hain crypto khareedna start karne ke liye!

 

Kya aap Olymptrade mein deposit karne ke liye tayyar hain?

Iss article ko check karein, jahan hum aapko step-by-step guide karte hain ke Binance Pay ke zariye apna trading balance kaise top up karein!

Agar yeh article aapko useful laga aur aap aisa aur content dekhna chahte hain, to humein thumbs up 👍 zaroor dein!

 

Was this article helpful?