Fixed Time Trades - Sab Kuch Jo Aapko Jaan'na Chahiye!

3 min. readlast update: 07.09.2025

Iss article ko full screen me dekhne ke liye, kripya yahan click kren.

Fixed Time Trading - FTT

Fixed Time Trades, yaani FTT, Olymptrade platform par available ek trading mode hai.

Is mode mein aap limited time ke liye trade karte hain, aur agar aapne currency, stock, ya kisi asset ke price ka sahi andaaza lagaya ho — to aapko ek fixed return milta hai.

 

 Trade karnay ke sharaait

Aapka lagaya gaya paisa

Yeh woh amount hota hai jo aap ek trade mein invest karte hain — aur isi par aapke potential profit ka daromadar hota hai. Aap sirf $1 se trade shuru kar sakte hain. Agar aapka balance $1 se kam hai, to web-version par aap chhoti amount se bhi trade open kar sakte hain.

Price direction

Agar aapko lagta hai ke price barhegi, to ‘Up’ button dabayein. Agar aapko lagta hai ke price giregi, to ‘Down’ button dabayein.

Trade time

Zyada tar assets ke liye minimum trade time 1 minute hoti hai, lekin kabhi kabhi yeh 5 se 15 minutes tak bhi ho sakti hai.

Minimum aur Maximum Trade Amount 

 

Minimum investment sirf $1 ya €1 hoti hai. Maximum trade amount aapke account ke status par depend karta hai:

  • Starter: $3,000 ya €3,000 tak

  • Advanced: $4,000 ya €4,000 tak

  • Expert: $5,000 ya €5,000 tak

 

Account statuses ke baare mein aur jaanne ke liye, yeh article check karein.

FTT Features

🎯 Strike Price Menu

Strike price menu aik table hota hai jahan available strike prices middle column mein hoti hain.

Left column mein down-trade profitability hoti hai, aur right column mein up-trade profitability.

🛡️ Risk-Free Trades 

Risk-free trade (RFT) aapke investment ko loss se protect karta hai. Agar aap RFT activate karte hain aur wo trade negative result ke saath close hota hai, to aapka trade amount aapke account mein wapas credit kar diya jata hai.

Iss article mein RFTs ke baare mein aur detail mein parhain!

🔓 Flat Market Protection

Kabhi kabhi market mein unexpected changes ho jatay hain. ‘Flat Market Protection’ ke saath agar FTT deal ka opening aur closing quote sirf ek point ka farq rakhay, to aapka invested amount aapke balance mein wapas refund ho sakta hai.

Yeh feature aap kabhi bhi on ya off kar saktay hain — jab chahay.

 

 

FTT ke baray mein mazeed maloomat

Fixed Time Trading (FTT) ko behtar samajhne ke liye hamaray educational resources explore karein:

Toh hamara detailed trade guide yahaan parhain aur FTT ke fundamentals ko step-by-step samajhne ka moka hasil karein.

Aap in strategies ko use karke valuable insights hasil kar sakte hain aur apni unique trading approach tayar kar sakte hain — wo bhi FTT ke dynamic environment mein. Yahaan click karein aur aur zyada jaaniye.

Agar apko yeh article pasand aaya he to kripya 👍 dabayein!   

Was this article helpful?