Forex - Sab Kuch Jo Aapko Jaan'na Chahiye!

3 min. readlast update: 07.09.2025

 Iss article ko full screen mein parhnay ke liye, barah-e-karam iss link par jaayein.

Forex - FX

 

Iss mode mein aapko yeh predict karna hota hai ke kisi selected asset ki price kis direction mein move karegi.

Isme profit sirf invested amount par nahi — balkay is baat par bhi depend karta hai ke price kitna upar ya neeche gayi hai.

 

Forex trades mein koi fixed time limit nahi hoti. Aap apni position manually close kar saktay hain, ya phir yeh automatically close ho sakti hai through: Stop Loss, Stop Out, aur Take Profit

Minimum aur Maximum Trade Amount 

 

Minimum investment sirf $1 ya €1 hoti hai. Maximum trade amount aapke account ke status par depend karta hai:

  • Starter: $3,000 ya €3,000 tak

  • Advanced: $4,000 ya €4,000 tak

  • Expert: $5,000 ya €5,000 tak

Account statuses ke baare mein aur jaanne ke liye, yeh article check karein.

FX Features

📈 Take Profit

Yeh aik service hai jo aapki profitable trade ko automatically close karti hai. Jab profit assigned value tak pohanch jaye, toh trade khud-ba-khud close ho jati hai aur aapka financial result lock ho jata hai.

📉 Stop Loss

Yeh aik service hai jo aapki losing trade ko automatically close karti hai. Jab loss assigned value tak pohanch jaye, toh trade current market price par khud-ba-khud close ho jati hai.

🛑 Stop Out

Yeh aik automatic service hai jo aapki losing trade ko close karti hai taake aapka loss invest ki gayi amount se zyada na ho. Yeh feature aapki deal ko extra losses se protect karta hai.

💹 Leverage

Leverage aapki investment amount ko multiply karta hai. Leverage ka value yeh dikhata hai ke aapki total trade volume kitni dafa barhegi.

For example, agar aap $100 invest karte hain aur x500 leverage use karte hain, to aapki total trade volume ho jaye gi $50,000 ($100 x 500).

 

Munafa Kaise Nikala Jata Hai

 

Apni FX deal ka result calculate karne ke liye aapko ye cheezen dekhni hoti hain:

  • Opening aur closing price ka farq

  • Aapki investment ki value

  • Leverage (multiplier) ka size

  • Commissions

 

Forex Commission kuch factors par depend karti hai jaise ke: Trade amount, Leverage, Asset ki specification waghera. Ye commission trade details ke sath hi show hoti hai, taake aapko pehle se idea ho.

Forex ke baare mein mazeed maloomat

Apni Forex (FX) trading samajh ko behtar banane ke liye humari educational resources explore karein:

Forex ka basic guide yahaan se padhein – Is guide mein aapko milay ga step-by-step understanding ke Forex trading hoti kya hai aur kaise kaam karti hai.

Aap in strategies ka use kar ke valuable insights hasil kar saktay hain aur apna ek unique approach develop kar saktay hain dynamic FX environment mein — yahaan dekhein.

Agar apko yeh article pasand aaya he to kripya 👍 dabayein!   

Was this article helpful?