Stocks - Sab Kuch Jo Aapko Jaan'na Chahiye!

3 min. readlast update: 07.09.2025

 Iss article ko full screen me dekhne ke liye, kripya yahan click kren.

Stocks - ST

 

Olymptrade platform par available trading modes mein se ek hai Stocks.

Is mode mein aap stock market shares par based instruments ke sath trade karte hain. Instrument ki price us waqt ke selected stock ki price par depend karti hai jab aap trade karte hain.

Aapka profit ya loss is baat par depend karta hai ke jab aap instrument buy karte hain us waqt se le kar jab aap sell karte hain tab tak stock ki price kitni change hui.

 

Minimum aur Maximum Trade Amount 

Minimum amount ka ta'alluq selected stock ki price se hota hai. Olymptrade app par aapko different companies ke stocks ka wide selection milta hai—jo aapke liye best ho, usay choose karein!

 

Buy trades ke liye aap jitni maximum units purchase kar sakte hain, woh aapke available balance par depend karta hai.

Sell trades ke liye limit ka ta’alluq un trade units se hota hai jo aap already hold karte hain.

Yeh zaroori hai keh aap yeh samjhein ke available trade units ka stock exchange par asli stock quantity se koi lena dena nahi hota.

 

Position Open Karna

 

Stocks mode mein ‘position’ ka matlab hota hai aapki ek trade unit jo kisi specific stock se linked hoti hai.

Har position ki value us stock ke current market price ke barabar hoti hai. Jab aap kisi stock instrument ko khareedtay hain, toh isay “position open karna” kaha jata hai. Jab tak aap apni trading units hold karte hain, aapki position “open” rehti hai.

 

📈  Trade Khareedna 

📉Trade Sell Karna

Yahan dekhiye Stocks mein position buy karne ka tareeqa:

  1. Stocks tab mein se apna favourite asset select karein.

  2. 'Buy' par click karein aur trade window mein trading conditions ko check karein.

  3. Jitni positions lena chahtay hain, woh number select karein.

  4. Trade window ke bottom mein 'Buy' par click karein.

Yahan dekhiye Stocks ki position sell karne ka tareeqa:

  1. Apne portfolio mein se woh stock select karein jo aap bechna chahtay hain.

  2. Open hone wali trade window mein trading conditions ko review karein.

  3. 'Sell' par click karein aur final selling conditions ko verify karein.

  4. Transaction complete karne ke liye 'Sell' button par click karein.

Munafa ya Nuqsan ka Hisaab

 

Sell trade ka profit ya loss calculate karna bohat simple hai. Bas in steps ko follow karein:

  • Current sell price aur average buy price ka farq nikaalein (current price – average buy price).

  • Is farq ko unn trade units se multiply karein jo aap sell kar rahe hain.

Agar result positive hai to munafa hai, agar negative hai to nuqsan.

 

 

ST ke baray mein mazeed maloomat

Hamari educational resources explore karein aur Stocks (ST) trading ko behtar samjhein:

Stocks trading ke basics seekhne ke liye hamara detailed trade guide yahaan dekhein

Agar apko yeh article pasand aaya he to kripya 👍 dabayein! 

Was this article helpful?