Verification - 3D Selfie lena ka tareeqa

2 min. readlast update: 07.09.2025

Agar aap yeh article full screen mein dekhna chahtay hain, to iss link par click karen.

3D Selfie verification

3D selfie ya liveness ek biometric check hota hai jo yeh prove karta hai ke aap real insaan hain. Yeh process bohat hi fast hota hai, aur aap isay mobile ya web camera ke zariye easily complete kar sakte hain.

 

3D Selfie lena ka tareeqa

undefined

  • Jab verification form mein 3D selfie required ho, to screen par diye gaye instructions check karein aur 'I'm ready' select karein.
  • Ab screen par diye gaye steps follow karein: apna chehra frame ke andar rakhein aur apna sar halkay se circle mein ghoomayein.
  • Ho gaya! Ab 'Next' par click karein taake aapke documents submit ho jaayein.

 

Tips aur Tricks

💡Roshan jagah mein ho

Yeh ensure karein ke aapka chehra screen par clearly nazar aa raha ho aur aap ek achi roshni wali room mein hon. Agar zarurat ho, to system ke instructions follow karte hue check dobara karein.

Frame mein fit ho jaayein

Camera se na zyada door kharay hon aur na hi bohat kareeb. Apna chehra aise position karein ke woh frame ke andar properly fit ho jaaye. Check karte waqt mask, glasses ya cap na pehnein.

💻 Chrome use karein

Agar aap apna verification desktop device se kar rahe hain to Chrome browser use karna behtar hoga. Lekin hum strongly recommend karte hain ke aap apni 3D selfie mobile device se lein — experience zyada smooth hota hai.

Aap ‘I'm ready’ button ke neeche diye gaye link par click karke desktop se mobile par switch kar sakte hain.

✅ Camera ka access dena zaroori hai

Jab browser aapse permission maange, to webcam ka access allow karein. Agar aap pehle se allow kar chuke hain lekin webcam phir bhi kaam nahi kar raha, to apne operating system ki camera settings check karni padein gi.

Agar yeh article aapko helpful laga ho, to 👍 dena mat bhooliye!  

Was this article helpful?