Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.
Aapke Funds ka Source |
Jab aap platform par koi bhi financial transaction karte hain, to aap se aapke funds ka source verify karne ka kaha ja sakta hai. Lekin kuch aur situations bhi ho sakti hain — jaisay ke hamari KYC Policy mein bataya gaya hai. ❎ Kuch cases mein, jab tak verification complete nahi hoti, restrictions lag sakti hain.
|
![]() |
Hamari company anti-money laundering rules ko follow karti hai taake yeh ensure kiya ja sake ke sab funds legal hain. Iss liye ham aapke funds ka source verify karte hain — taake international regulators aur payment systems ke rules ko follow kiya ja sake.
Verification documents |
Aap neeche diye gaye documents upload kar sakte hain — lekin in mein aapka full name, income/profit ka exact amount, aur document ka issue date zaroor hona chahiye:
Property sale agreement
Yeh details document mein clearly nazar aani chahiyein:
-
Aapka full name
-
Property ki description
-
Purchase price
-
Sale complete hone ki date
Agar aap property sale agreement upload kar rahe hain, to saath mein bank statement bhi bhejein jismein sale ki deposit ya withdrawal transaction dikh rahi ho.
Yahan aik example hai:
Loan Agreements
Document mein yeh details zaroor nazar aani chahiyein:
-
Aapka full name
-
Loan lenay ki wajah
-
Woh entity ya shakhs jis ne loan diya
-
Loan ka amount
-
Loan milne ki tareekh
Agar aap loan agreement upload kar rahe hain, to saath mein aik bank statement bhi bhejein jismein loan ki deposit transaction dikh rahi ho.
Yahan aik example diya gaya hai:
Shares Ownership ka Saboot Dainay Walay Documents
Iss document mein ye cheezein nazar aani chahiyein:
-
Aap ka full name
-
Share ka short sa description
-
Total kitne shares hain
-
Har share ki price
-
Document issue hone ki tareekh
Shares sale agreement
Iss document mein ye details clearly nazar aani chahiyein:
-
Aap ka full name
-
Shares ka short sa description
-
Purchase price (kitne paison mein shares khareeday gaye)
-
Sale complete hone ki tareekh
Agar aap shares sale agreement upload kar rahe hain, to saath mein bank statement bhi bhejein — jismein sale ka deposit ya withdrawal transaction dikh raha ho.
Yahan aik example diya gaya hai:
Pichlay 1 saal ki Bank Statement
Is document mein ye sab kuch clearly dikhna chahiye:
-
Aap ka full name
-
Bank account number
-
Har transaction ke baad ka updated balance
-
Pichlay 1 saal ke tamam transactions
Yahan aik example diya gaya hai:
Income Statement
Iss document mein ye cheezein clearly nazar aani chahiyein:
-
Aap ka full name ya Company ka naam
-
Revenue
-
Gross Profit
-
Net Income
-
Issuing date
Agar document mein aap ka naam mention nahi hai, to aapko ek ownership ya equity structure ka document bhi upload karna hoga (jaise ke Certificate of Incorporation, Shareholder ya Operating Agreement, Partnership Agreement, waghera).
Yahan aik example diya gaya hai:
Tips aur Tricks |
🔍Documents complete honay chahiyein |
Jo documents aap upload kar rahay hain, un mein clearly income ya profit ka exact amount mention hona chahiye. Example: Agar aap loan agreement upload kar rahay hain, to saath mein bank statement bhi upload karein jismein loan ki transfer ka proof ho. |
🤝Supporting Documents |
Agar aapka document clearly yeh show nahi karta ke funds platform mein kaise invest hue hain, to aap extra supporting documents bhi upload kar sakte hain. Example: Agar aap salary slip de rahay hain, to us bank statement ka screenshot bhi upload karein jahan aapki salary credit hui ho. |
✍🏼Asal documents |
Meherbani karke apne original documents ka clear photo ya scan upload karein — bina kisi editing ke, na physical aur na hi digital. |
Kya aapko apne Source of Funds verify karne mein madad chahiye? |
![]() |
Koi masla nahi! Neeche diye gaye button par click karke hamari Support Team se raabta karein 👇
|
Agar aapko yeh article helpful laga ho, to ek 👍 zaroor de dein!