Withdrawal - Cryptocurrency

2 min. readlast update: 07.09.2025

Iss article ko full screen mein parhnay ke liye, barah-e-karam iss link par jaayein.

Crypto

Aap apni personal crypto wallet mein direct withdrawal kar saktay hain. Bas withdrawal request karein aur apna valid crypto wallet address provide karein.

Withdrawal timeframe

  •  Hum aapki payment 24 ghantay se 5 working days ke andar process kar dete hain.
  • Withdrawal process hone ke baad, zyadatar cases mein 24 ghantay ke andar funds aapke wallet mein mil jatay hain.

Withdrawal steps

  • Iss link par jaayein.
  • Jo amount aap withdraw karna chahtay hain, wo enter karein.
  • Apna personal crypto wallet address likhein (jaise ke USDT ya ETH ke liye).
  • Send Request’ par click karein.
  • Jab request process ho jaye gi, funds aapke diye gaye wallet address par bhej diye jayenge.
  • Aap apni request ka status ‘History’ section mein dekh saktay hain.

Tips aur Tricks  

📬Apna email inbox check karte rahain

Jab aap withdrawal request bhejte hain, to us email ka inbox zaroor check karte rahain jo aap ne withdrawal ke waqt use ki thi. 

✅Ek valid email address enter karein

Hum usually yeh recommend karte hain ke withdrawal form mein wohi email address fill karein jo aap ne Olymptrade account banate waqt use kiya tha. Yeh confirm karein ke jo email aap enter kar rahe hain, us tak aapki access ho.

🔍Apna wallet address dobara check kar lein

Yeh ensure karein ke jo wallet address ya wallet key aap enter kar rahe hain woh bilkul theek hai. Aap yeh info apne personal wallet ki app ya homepage se confirm kar sakte hain. 

Agar aapko yeh article helpful laga ho, to ek 👍 zaroor de dein!

Was this article helpful?