Withdrawal - Sab Kuch Jo Aapko Jaan'na Chahiye!

2 min. readlast update: 07.09.2025

Iss article ko full screen mein parhnay ke liye, barah-e-karam iss link par jaayein.

Withdrawal Steps

Withdrawal ka minimum amount aam tor par $10 hota hai ya phir aapki currency ke mutabiq us ka equivalent. Lekin yeh amount aapke payment method ke hisaab se change ho sakta hai.

  • Iss link par jaayein.
  • List mein se apna preferred payment method select karein aur zaroori info fill karein.
  • 'Send a Request' par click karein.

Aapko jo data fill karna hoga, woh aapke selected withdrawal method par depend karega.

Timeframe

 

Hum koshish karte hain ke aapki withdrawal request 24 ghantay ke andar process ho jaye. Lekin kuch cases mein yeh process 5 working din tak bhi lag sakta hai.

Jab aapki withdrawal request successfully process ho jati hai, toh e-wallet mein funds foran mil jaate hain. Lekin agar aap bank card ya bank account mein withdraw kar rahe hain, toh paisay milne mein 5 working din tak lag sakte hain.

 

 

Jaroori Information

Jab aap withdrawal request kar rahe hon, to yeh zaroor yaad rakhein:

  • Aap ek waqt mein sirf aik withdrawal request kar sakte hain. Jab tak pehli request process nahi hoti, doosri request bhejna possible nahi hota.

  • Withdrawal request dene ke baad paisay foran deduct nahi hote. Agar aapka balance withdrawal amount se kam hoga, to request automatically cancel ho jayegi.

  • Agar aap ne multiple payment methods use kiye hain, to har withdrawal request ka amount us method ke deposit amount se zyada nahi hona chahiye. Agar aap zyada paisay nikalna chahte hain, to multiple withdrawal requests send kar sakte hain.

Agar aapko yeh article helpful laga ho, to ek 👍 zaroor de dein!

Was this article helpful?