Deposit karne ka tareka - Binance Pay

2 min. readlast update: 07.08.2025

Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.

Deposit  ka tareeqa

  Aapka deposit sirf 1 ghantay ke andar aapke account mein credit ho jaye ga.

  • Pehlay iss link par jaa kar Binance Pay select karein
  • Apna deposit amount choose karein
  • Aapko payment page par le jaya jaye ga jahan ek QR code show hoga
  • Apni Binance App se wo QR code scan karein ya neeche diye gaye link par click karein taake aap seedha Binance ki page par chalay jaayein

 

Tips aur Tricks

Payment hamesha time limit ke andar complete karein. Agar aap waqt par payment nahi karte, to wapis jaa kar naya QR code generate karein. 

Apna Binance ID us jagah par milega jo screenshot mein highlight kiya gaya hai.

Bilkul wahi amount bhejein jo deposit order mein likha hai na us se zyada, na kam, aur round off bilkul na karein. 

Jo crypto aur protocol aap deposit ke liye select karein, wahi exact same aapke wallet se bhejna zaroori hai. Mismatch se deposit fail ho sakta hai.

 

Deposit errors kaise handle karein

Aksar deposit errors 15 minutes rukne ya kuch basic troubleshooting karne se solve ho jaate hain. Uske baad aap dobara try kar sakte hain.

Apni Binance App ko latest version par update zaroor karein taake aap kisi bug ya missing feature ka shikaar na hon.
Binance Pay ki transaction limits ka khayal rakhein pehle se apni transaction ko usi ke mutabiq plan karein.
Hamesha network fee ya extra charges check kar lein, aur ensure karein ke aapke wallet mein itne funds hon ke aap transaction aur fee dono cover kar sakein.

 

Binance par account kaise banayein  

Binance aik bohot mashhoor aur easy-to-use platform hai. Agar aap wahan account open karna chahte hain, to hum recommend karte hain ke aap unki official website check karein: https://www.binance.com

Aapko Binance Pay use karne ka tareeqa iss article mein mil jaayega.

👍 Agar yeh article aapko helpful laga ho to thumbs up zaroor dein!

Was this article helpful?