Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.
Deposit kaise karein? |
Aapka deposit sirf 1 ghantay ke andar aapke account mein credit ho jaye ga.
|
![]() |
Tips aur Tricks |
Aap directly apni card use karke deposit kar sakte hain ya apne Skrill wallet ke pre-existing balance se bhi deposit kar sakte hain. Aapke mulk ke mutabiq, Skrill aapko doosre tareeqon se bhi deposit karne ki ijazat de sakta hai. Hum recommend karte hain ke aap apna wallet card ke zariye top up karein.
|
![]() |
Platform par Skrill ke pre-existing balance ke zariye deposit karne ke liye, wallet ko Visa card se top-up karna chahiye. |
![]() |
Apne Skrill account ko verify karein taake aapki transactions secure rahein. |
![]() |
Deposit errors kaise handle karein |
Aksar deposit errors 15 minutes rukne ya kuch basic troubleshooting karne se solve ho jaate hain. Uske baad aap dobara try kar sakte hain.
Agar aap Skrill app use kar rahe hain, to ensure karein ke aapki app latest version par ho taake bugs ya missing features ka issue na aaye. Skrill ke taraf se set ki gayi transaction limits ka khayal rakhein aur apni transactions usi hisaab se plan karein. Hamesha additional fees check karein aur ensure karein ke aapke paas itne funds hon ke aap transaction amount aur currency exchange fees dono cover kar sakein. Yeh make sure karein ke aapne apna balance Visa card se top-up kiya ho. Agar aap kisi aur type ki card use karte hain, to yeh balance Olymptrade mein deposit ke liye available nahi hoga. |
Skrill par register karna |
Aap unki website par diye gaye instructions follow karke register kar sakte hain. Apna Skrill wallet top-up karne ka tareeqa seekhne ke liye, yahan click karein.
Yaad rahe ke yeh e-wallet har region mein available nahi hota. Apne available payment methods check karne ke liye, iss link ka use karein.
👍 Agar yeh article aapko helpful laga ho to thumbs up zaroor dein!