Jama karne ki prakriya - UPI 

2 min. readlast update: 10.15.2024

Iss article ko full screen mein padhne ke liye, yahaan click karein.

Deposit kaise karein? 

UPI deposits bas 24 ghanton mein credit ho jaata hain.
  • Iss link par jayein aur UPI select karein.
  • Apni deposit amount choose karein.
  • Apna UID (Aadhaar Card), VPA, Phone number, aur First aur Last name add karein.
  • UPI-supporting app mein diye gaye instructions follow karke payment complete karein.

Tips & Tricks 

 

Check karein ki aap sahi mPIN daal rahe hain, jo aapko diye gaye waqt ke andar enter karna hai.


mPIN ek 6-digit ka passcode hota hai jo har transaction ke time daala jaata hai.

Ensure karein ki aap correct VPA (Virtual Payment Address) fill kar rahe hain apne deposit ke liye.


VPA ka structure "username@bankname" hota hai, jisme username user khud select karta hai, aur bank name UPI service provide karne wale bank ya payment service provider ko refer karta hai.

Make sure karein ki aapke wallet mein UPI transaction fees aur exchange rates cover karne ke liye sufficient balance ho.


Aap apna balance usually apne UPI-supporting app ke top ya top-right corner par check kar sakte hain.

Deposit complete karne ke baad aapko UTR number milega.


Iss UTR number ko deposit page par bhejein taaki aapka payment jaldi confirm ho sake.

Deposit errors se kaise deal karein?   

Zyada tar deposit errors ko 15 minute wait karne ke baad phir se deposit karke ya basic troubleshooting se solve kiya ja sakta hai. 

Har request ke liye platform par ek nayi deposit request create karna na bhoolein. Ek hi QR code ya deposit information ko bar-bar use karna transactions lose hone ka risk badha sakta hai.

Agar aap ₹2000 se zyada deposit kar rahe hain, to QR-payment option ki jagah diye gaye phone number ka use karein.

Kabhi-kabhi banks transaction frequency aur amount limits set karte hain. Apni UPI deposits ki frequency aur amount ko reduce karke bank limits ko avoid karein.

 

Agar aapko yeh article upyogi laga, toh usse ek thumbs up dena na bhulein 👍!

 

Was this article helpful?