Verification – Address ka Saboot (Proof of Address)

2 min. readlast update: 07.09.2025

Agar aap yeh article full screen mein dekhna chahtay hain, to iss link par click karein.

Address ka Saboot 

Aap apna address verify kar sakte hain verification form mein Geolocation function activate karke. Yeh hai tareeqa:

  • Verification form mein ‘Allow Access’ par click karein taake aapka geolocation data aapki residence confirm kar sake.
  • Jab aapki location identify ho jaaye gi, to aapke mulk ka naam screen par nazar aaye ga. 

 

Aap apna address verify karne ke liye yeh documents bhi upload kar sakte hain jismein aapka full name, current address, aur issue date ho:

  • ID jismein complete address likha ho

  • Bank statement

  • Tax bill ya tax return

  • Internet, TV, telephone, ya kisi bhi utility ka bill

  • House registration document

Yaad rahe, aapka document 3 mahinay se zyada purana nahi hona chahiye.

 

 

Tips aur Tricks

⏰ Haal hi ki photo 

 

Aapke document ki photo ya scan 2 hafton se zyada purani nahi honi chahiye. Hum yeh recommend karte hain ke aap upload karne se thodi der pehle hi photo lein. 

💯 Saari maloomat honi chahiye

Yeh ensure karein ke aapke document mein aapka full name, address, aur issuing date clear likhi ho.
Yaad rahe, document 3 mahinay se zyada purana nahi hona chahiye. 

📃 Asal documents

Meherbani karke apne original document ki photo ya scan upload karein — kisi bhi tarah ki physical ya digital editing ke bina.

✅ Alag documents

Agar aap apne identity document ko address verify karne ke liye use karna chahtay hain, to Proof of Identity ke liye aapko koi doosra document upload karna hoga.

Aap iss article mein alternatives aur identity verify karne ke tips bhi dekh sakte hain.

 

Yeh kuch misaalain hain:
Bijli ka bill

Bank Statement

Municipal tax bill

Gas ka bill

Agar yeh article aapko helpful laga ho, to 👍 zaroor dena!

 

   

Was this article helpful?