Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.
Third-party payment method verification process |
Mandatory verification ke dauran aap se aapke payment methods ka bhi proof manga ja sakta hai. Hum hamesha recommend karte hain ke traders sirf apne naam ka payment method use karein. Agar aap kisi aur ka method use karte hain, to uska verification dena bhi zaroori hoga! Mandatory verification ke baare mein aur jaanne ke liye yeh article padhein. |
![]() |
Hum ek email bhejenge jisme instructions hongi is payment method ko verify karne ke liye.
|
Tasdeeq ke documents |
🤵Shanakht ka Saboot |
Apni identity verify karne ke liye aap passport, national ID card ya driving license upload kar saktay hain. Zyada tips aur examples ke liye yeh article zaroor check karein
|
🤳3D selfie |
3D selfie upload karte waqt, apna chehra frame ke andar rakhein aur sir ko circle mein ghoomaein. Platform par verification ke time pe proper instructions di jaayengi. Zyada tips aur examples ke liye yeh article check karein |
Document check ka Waqt |
Jab aap apne documents upload kar detay hain, to verification ka process 24 ghantay se le kar 5 working din tak lag sakta hai. Aapko email ya SMS ke zariye notification milega aapke verification status ke baare mein.
|
|
Aap kisi bhi waqt apna verification process complete kar sakte hain. Lekin agar aap 14 din ke andar verification complete nahi karte, to kuch restrictions apply ho sakti hain. Aapke paas exactly kitna time hai account verify karne ke liye — ye detail aapko notification email mein mil jaayegi. |
👍 Agar yeh article aapke liye faidemand sabit hua ho, to please isay like karna na bhooliye!