Verification - Voluntary Tasdeeq ka Process

2 min. readlast update: 07.09.2025

Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein. 

Voluntary verification process

Verification ka process aik identity check hai jo aapke account aur tamam financial transactions ki security ensure karta hai.

Hum recommend karte hain ke aap yeh process voluntarily, smoothly aur apne pace par complete karein — jab aap tayar hon!

Aap kabhi bhi apne account ka verification apni marzi se karwa saktay hain.

 

Account Verify karne ke Faide

 

  • Agar aap voluntarily apna account verify kar lete hain, to Visa card se deposit karna allowed hota hai.

  • Voluntary verification mein koi deadline nahi hoti – aap apne documents apne hisaab se araam se upload kar saktay hain.

  • Ye process aapko future mein smooth aur tension-free transactions mein madad deta hai.

  • Ismein kam documents required hote hain – bas ek valid ID aur ek 3D selfie chahiye hoti hai (mandatory verification se kaafi simple).

 

Tasdeeq ke Documents

🤵Shanakht ka Saboot 

Apni identity verify karne ke liye aap passport, national ID card ya driving license upload kar saktay hain.
Aapke document mein aapka naam, date of birth aur photo clearly visible honi chahiye.

Zyada tips aur examples ke liye yeh article zaroor check karein

🤳3D selfie

3D selfie upload karte waqt, apna chehra frame ke andar rakhein aur sir ko circle mein ghoomaein. Platform par verification ke time pe proper instructions di jaayengi.

Zyada tips aur examples ke liye yeh article check karein

 

Document check ka Waqt 

 

Jab aap apne documents upload kar detay hain, to verification ka process 24 ghantay se le kar 5 working din tak lag sakta hai.

Aapko email ya SMS ke zariye notification milega aapke verification status ke baare mein.
Aap apne profile mein bhi verification status track kar saktay hain.

 

Apna verification process shuru karne ke liye neeche diye gaye button par click karein👇

Verification par jayein

👍 Agar yeh article aapke liye faidemand sabit hua ho, to please isay like karna na bhooliye!

Was this article helpful?