Iss article ko full screen mein dekhne ke liye, iss link par click karein.
Mandatory Tasdeeq ka Process |
Verification ek identity check hota hai jo aapke account aur saari financial transactions ki security ke liye zaroori hota hai.
Aap directly verification section par bhi ja saktay hain iss link ko click kar ke. |
![]() |
Jab Verification Lazmi Ho Jaye |
![]() |
Mandatory verification tab zaroori ho sakti hai jab aap platform par koi financial transaction karte hain. Ye tab bhi required ho sakti hai jab aap apni contact info ya two-factor authentication system change karte hain. Lekin kuch aur situations bhi ho sakti hain jo hamari KYC Policy mein mention hain.
|
Verification documents |
🤵 Shanakht ka Saboot |
Apni identity verify karne ke liye aap passport, national ID card ya driving license upload kar saktay hain. Zyada tips aur examples ke liye yeh article zaroor check karein |
🤳 3D selfie |
3D selfie upload karte waqt, apna chehra frame ke andar rakhein aur sir ko circle mein ghoomaein. Platform par verification ke time pe proper instructions di jaayengi. Zyada tips aur examples ke liye yeh article check karein |
🏡 Address ka Saboot |
Aap apna residence confirm karne ke liye Geolocation function ka use kar sakte hain. Ya phir aap koi document upload kar sakte hain — jaise ke bank statement ya utility bill — jisme aapka full name, address, aur issue date clearly mentioned ho. Iss article mein mazeed tips aur examples dekhein! |
💳 Payment ka Saboot |
Aap ne platform par jo deposit kiya hai, usay verify karne ke liye document ka type aapke payment method par depend karta hai. Aksar, document ya photo mein aapka naam, date, aur deposit amount clearly nazar aana chahiye. Aur tips aur examples ke liye ye article check karein |
Document check ka Waqt |
Jab aap apne documents upload kar detay hain, to verification ka process 24 ghantay se le kar 5 working din tak lag sakta hai. Aapko email ya SMS ke zariye notification milega aapke verification status ke baare mein.
|
|
Aap kisi bhi waqt apna verification process complete kar sakte hain. |
👍 Agar yeh article aapke liye faidemand sabit hua ho, to please isay like karna na bhooliye!