Agar aap yeh article full screen mein dekhna chahtay hain, to iss link par click karen.
Verification ka process |
Verification ka process ek identity check hota hai jo aapke account aur tamam financial transactions ki security ensure karta hai. Apna account verify karne ke liye, aapko apni National ID aur 3D selfie upload karni hogi. Kabhi kabhi aapko proof of payment aur proof of address bhi upload karna pad sakta hai. | ![]() |
Verification ka process ya to voluntary hota hai ya mandatory. Lekin agar aap apna account voluntarily verify karte hain to yeh process zyada smooth hota hai!
Voluntary verification |
Mandatory verification |
Aap kisi bhi waqt apni marzi se apna account verify karna choose kar sakte hain. |
Mandatory verification us waqt request ki ja sakti hai jab aap platform par koi bhi financial transaction karne ki koshish karte hain. |
Voluntary verification ke dauraan, aapko yeh documents upload karne honge:
|
Mandatory verification ke dauraan, aapko yeh documents upload karne honge:
Aap se yeh documents bhi mangay ja sakte hain:
|
|
|
Voluntary Verification process ke baare mein mazeed jaanein iss link par. |
Mandatory Verification process ke baare mein mazeed jaanein iss link par. |
Verification ke documents |
Shanakhti saboot
3D selfie
Apni 3D selfie upload karne ke liye, apna chehra frame ke andar rakhein aur apna sar halka sa circle mein ghoomayein. Verification ke dauraan platform par aapko proper instructions mil jaayengi.
3D selfie lene ka tareeqa samajhne ke liye yeh article zaroor parhein.
Address ka saboot
Proof of address verify karne ke baare mein mazeed maloomat ke liye yeh article parhein.
Payment ka saboot
Payment verify karne ke liye jo documents chahiye hote hain woh is baat par depend karte hain ke aapne platform par deposit kis method se kiya tha.
Aam tor par, document ya picture mein aapka naam, date, aur deposit amount clearly shown hona chahiye.
Payment methods ki list aur unhein verify karne ka tareeqa aap iss article mein dekh sakte hain.
Document check karne ka timeframe |
![]() |
Jab aap apne documents upload kar lete hain, to verification process 24 ghantay se le kar 5 working days tak le sakta hai. Aapko verification status ke baare mein email ya SMS ke zariye notification milegi. Aap apne profile mein bhi verification ka status track kar sakte hain.
|
Verification process shuru karne ke liye neeche diye gaye button par click karein👇
Verification par jayein |
Agar yeh article aapko helpful laga ho, to 👍 dena na bhooliye!